Sunday 5 March 2017

FARZ NAMAZ KE BAAD RAAT KI NAMAZ TAMAAM NAMAZOU SE AFZAL HAI

  • Bandon me sab se afzal aur qayamat ke din ALLAH TAALA ke nazdeek wo shakhs hai jo kasrat se ALLAH TAALA ka zikr karne wala hai aur wo Aurtein (women) jo kasrat se zikr karne wali hain.
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA aise shakhs ko apne arsh ke saaye me jagah dega jisne tanhayi me ALLAH TAALA ka aise zikar kiya ke uske aanso jaari hogaye.(Sahih Bukhari,Hadith no:1337)

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ke Asmaaye mubaraka me se ek isme mubarak HAASHIR bhi hai jiske mutaliq Aap irshaad farmate hain:LOGOU KO MERE QADMOU ME JAMA KIYA JAYEGA.
  • NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo din me 50 martaba mujh par Durood padhega Qayamat ke din Main usse Musafaha karunga….(Al Qawl ul Badee)
  • Jo Shakhs sajdon me rota hai use Taqdeer par rona nahi padhta.(Hazrath Syeduna Ali Raziallahu taala anhu)
  • Beshak ALLAH TAALA ne musalmanon par bada EHSAAN farmaya ke unme unhi me se BA AZMATH RASOOL bhejha.(Surah Aale Imraan:164)
  • Aur Yaqinan wo shakhs namuraad hua jisne thoda bhi zulm kiya ho.(Surah Taha:111)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Khair o bhalayi kitaab wo sunnat ki taleem dene wale ke liye samandar me machliyan bhi dua e maghfirat karti hai.(Al Targheeb wal Tarheeb:80)


  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Farz Namaz ke baad Raat ki namaz tamaam namazou se afzal hai.(Sahih Muslim)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Apne Aapko, Apni Aoulaad ko, Apne Khadimon ko, aur Apne Maal ko Bad dua na do, Aisa na ho ke wo ghadi Dua ki Qubuliyat ki ho aur tumhari Dua qubool hojaye.(Sunan e Abu Dawood,Hadith No:1532)

No comments:

Post a Comment