Tuesday 7 March 2017

BESHAK ALLAH SABAR KARNE WALON KO PASAND FARMATA HAI

  • NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasllam ne irshaad farmaya:Logon me sab se zyada fikarmand wo band e momin hai jo apni duniya wo aakhirat ke maamlaat saawarne ki fikar me laga rehta hai.
    (Sunan e Ibne Maajah,Hadith no:2143)


  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:wo shakhs jannat me dakhil na hoga jiske shar se uska padhosi mahfooz na ho. (Sahih Muslim,Hadith no;172)click Here



  • Haraam maal me barkat nahi hoti kisi na kisi tarah wo haath se nikal jata hai.
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Fajar se pehle ki 2 rakaten (yane fajar ki sunnat ) mat chodo kyun ke unme baqsish hai.
    (Al Targheeb wal Tarheeb,Hadith no:302)
  • Jo Tumhare Saath Mohabbat Rakhe us se Mohabbat Rakho.(Hazrath Sheik Abdul Qader Jilaani Rahmatullah Alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishton ke saamne unka zikar farmata hai.
    (Sahih Muslim,hadith no:6855)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Musalman ko bimari ki wajeh se ALLAH TAALA uske gunah is tarah khatam kardeta hai jis tarah aagh sone aur chandi ke mail kucail ko khatam kardeti hai.
    (Sunan e Abu Dawood,hadith no:3092)


  • Sabar aur Raza 2 surten hai:Jab tum amal karna shuru karo to uski shurwat sabar hai, aur uska Anjaam Raza hai.
    (Hazrath Shaqeq Balqi rahmatullah alaih)
  • Har cheez apne sahi waqt pe hi hasil hoti hai to chahye ke yaqeen aur sabar se kaam le, Beshak ALLAH Sabar karne walon ko pasand farmata hai..
  • ALLAH TAALA ne Apni Ita’at karne walon ko marne ke baad bhi zinda rakha hua hai.(Hazrath Amar bin Usman rahmatullah alaih)
  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ache Aqlaaq ek behtaren Neki hai.
    (Sahih Muslim)

No comments:

Post a Comment