Sunday, 5 March 2017

HUZOOR (ﷺ) NE IRSHAAD FARMAYA

  • NABI E KAREEM (ﷺ)  ne irshaad farmaya:
    Agar tum me se koi shakhs ye maloom hojaye ke apne bhai ki Namaz ke aage se guzarne se usko kitna Azaab hoga to wo 100 saal tak khada rahe to ye uske liye us namazi shakhs ke aage chalne se Behtar hai.
    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:946)
  • NABI E KAREEM (ﷺ)  ne irshaad farmaya:
    Safen durust rakho aur milkar khade raho, kyun ke yaqinan Main tumhe pit ke piche se bhi dekhta ho.
    (Sahih Bukhari, hadith no:718)


  • HUZOOR (ﷺ)  Ne Irshaad farmaya:
    Tum me sab se zyada pyare aur qiyamat ke din mere qareeb baithne wale wo log hai jinke aqlaaq ache hai.
    (Jame Tirmizi,Hadith No:2018)


  • HUZOOR NABI E KAREEM (ﷺ)  ne irshaad farmaya:
    ALLAH TAALA khush haal rakhe us shakhs ko jo hamari koi hadees sune aur use dusron tak puhanchaye.
    (Sunan e Ibne Maajah,Hadith no:238)
  • NABI E KAREEM (ﷺ) ne irshaad farmaya:
    Meri masjid me ek namaz adaa karna 50 hazaar namaz adaa karne ke barabar Ajar o Sawaab rakhta hai.
    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:1478)
  • NABI E KAREEM (ﷺ)  ne irshaad farmaya:
    Masjid e Quba ki namaz ka sawaab Ek Umra karne ke barabar hai.
    (Jame Tirmizi)


  • NABI E KAREEM (ﷺ)  ne irshaad farmaya:
    Aye logo! Beshak main tum ko 2 Azeem nematen dekar jaraha ho, jab tak tum unhe thaame rahoge hargis gumrah na hoge,
    wo Kitaab ul ALLAH aur Meri Itrat “AHLE BAIT” hain.
    (Jame Tirmizi,Hadith no:4155)

No comments:

Post a Comment