- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo Shakhs ALLAH TAALA ke khouf se rota hai to wo uski baqshish farmadeta hai.(Kanzul Ummal,hadith no:5909)
- ALLAH TAALA Ki Mohabbat ki nishani ye hai ke Banda Ibadat e Ilaahi me Sakht se Sakht Takleef bardast kare , kyun ke Mohabbat Aaraam se hasil nahi hoti.(Hazrath Sayeed Rahmatullah Alaih)
- Aur Yaqinan wo shakhs namuraad hua jisne thoda bhi zulm kiya ho.(Surah Taha:111)
- Nekon ki Suhbat neik kaam se behtar hai aur burou ki suhbat bure kaam se buri hai.(Hazrath Khaja Ghareeb Nawaaz Rahmatullah Alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab tum ALLAH se maango to JANNAT UL FIRDOUS ko maango,kyun ke wo jannat ka sab se afzal aur baland darja hai,uske upar RAHMAN ka arsh hai.aur usi se jannat ki nehren nikalti hai.(Sahih Bukhari,Hadith no:7423)
Saturday, 4 March 2017
ALLAH TAALA KI MOHABBAT KI NISHANI YE HAI KE
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment