- Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain:
Main NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah me chand khajoren lekar hazir hua,
Aur Arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! In par barkat ki dua farmayen,
Pas Aap ne unhe jama farmaya aur un par Barkat ki dua farmayi.
(Jame Tirmizi,vol:2, pg:224)
- NABI E RAHMAT Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Yaad rakho! ALLAH ki madad wo nusrat SABAR ke saath hi hai, aur har takleef wo musibat ke baad kushadgi hai, aur yaqinan har tangi wo mushkil ke baad Aasani hai.
(Musnad Imaam Ahmed,Hadith no:2804) - Aur jab quraan padha jaye to use tawajjeh se suna karo aur khamosh raha karo taake tum par rahem kiya jaye.
(Surah Al Aaraaf:207)
Monday, 27 February 2017
HAR TAKLEEF WO MUSIBAT KE BAAD KUSHADGI HAI
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment